Pages

doobta chaand mera dast-e- dua lagta hai !

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai,
Hans Ke Bole Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hai,

Aur Kuch Der Na Bujhne De Isse Rab-E-Sahar,
Doobta Chand, Mera Dast-E-Dua Lagta Hai,

Jis se Munh pher Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujre Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai,

Ab Ke Saawan Mein Bhi Zardee Na Gayi Chehron Ki,
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai,

Sheher Ki Bhir Mein Khulte Hai Kahan Uske Nakoosh,
Aao Tanhayi Mein Sochein Ke Wo Kya Lagta Hai,?

Munh Chhupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaab se Aaj,
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai...

No comments:

Share