Pages

lejaye na chup chaap samandar ko utha kar
ye shakhs.. jo sahil pe khara soch raha hai!
Rasta Badalna hai
Patharon peh chalna hai
Zindagi key rastay per
Gir gae, Sambbhalna hai,
Badalo! Hato Peechhay,
Chand ko nikalna hai
Phool ko mehekna hai,
Lakriyon ko jalna hai
Hum to door jain gay
kis ko sath chalna hai.!!!?
aye hasil-e-khuloos bata kia jawab dun ?
dunya ye puchti hai k main kioon udaas hun ...!
kabhi yun bhi tu ho!
darya ka sahil ho
pure chand ki rat ho

or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho!

paryo ki mehfil ho
koi tumhari bat ho
or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho

suni har manzil ho
koi na mere sath ho
or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho!

ye badal ese toot k barse
mere dil ki tarhan milne ko
tumhara dil bhi tarsetum niklo ghar se!
kabhi yun bhi tu ho

kabhi yun bhi tu ho
tanhai ho, dil ho boondain hon, barsat hoor tum ao!
kash !kabhi yun bhi tu ho!
WAFA ki talash main chaltay chaltay
jab mere paon k chalay
mere rooh ki tishnagi
or
mere dil ki gehraiyon se
zada gahre hogaye
tu main thak k niim wa hui
aik shajar-e-be-aman k
saaye main a k so gayi!
wo wafa k jis ki talash thi
wo tu na mili
ye sabaq mila
k wafa ki tapti ret pe
jo bilak bilak use dhund dhund k thak gaye
wo yunhi darakhto k sayon main
kabhi chup gaye
kabhi sogaye
jo wafa ki talash main niklay thay
khud bhi kisi rah main kho gaye.....!
na shikayatain na gila karay
koi esa shkhs hua karay
jo mere liye hi saja karay
jo mere liye hi bana karay


kabhi roye jaye wo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chupk chupk dabe qadam
mere pichay a k hansa karay


meri furqatain meri chahatain
koi yaad rakhay qadam qadam
main baray tawil safar main hun
meri wapsi ki dua kare
sar jhukaoge to pathar devata ho jayega
itana mat chaho use wo bewafa ho jaayega
ham bhii dariyaa hain hamain apna hunar malum hai

jis taraf bhi chal parainge rasta ho jaayega
kitni sachai se mujhse zindagi ne kah diya

tu nahin meraa to koi duuara ho jayega
main Khudaa kaa naam le kar pii raha hun doston

zahar bhii is me agar hoga dava ho jayega
rooth jana to mohabbat kii alaamat hai magar

kyaa Khabar thii mujh se wo itana Khafaa ho jayega...!!
kuch or is me izafa karo tu acha hai
ye dil ka dard ke jis me kami nahi hoti..!
ITNA hee yaad rakh MUJHEY,
Jaisey kisi kitaab me,
Beetey dino k DOST ka,
EK KHAT para huwa miley,
Lafz mitey mitey se hon,Rang urra urra sa ho,
Lakin woh AJNABI na ho!
Uth ker terey galey lagey,
Beetey dino ki sab KHATAAYEN,
Bhooley huwey tamam sukh,
Guzrey huwey tamam dukh,
TUJH se kahey aur ro parey....!!!
Kadmon mein tere aakhiri dhadkan bichaa chale
Maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
Waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko

Tum bewafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
Aaraam tha kuch aag ki garmi se zakhm ko

Aaye voh meri kabr par , shama bhujha chale
Kaise banaun us jagah khwabo ka aashiyan

Har lamha farebo ki jahan par hawaa chale
Usne hamaari khwahishe pairon main raund din

Har ek raza pe jiski hum gardan jhukaa chale
Haathon ki lakiron ko bejaa jaan kar chup hun

Kismat mein hai likhaa jo... uspe zor kya chale !
Nakaam hasrato ko bhulane kahan jate !!

Nikle teri galii se suu-e-maikada chale
Yun Gham-e-yaar tu seene mein chupa le

Chehra bhi gar koi parhe , kuch na pata chale...!
Toot jatay hain sabhi rishte magar
dil se dil ka raabta apni jaga

dil ko hai tujhse na milne ka yaqin

tujh se milne ki dua ... apni jaga..!
dar-e-dil pe deke dastak ye bahaar kah gayee hai
mere ghar ki or kuch din zara dekh bhaal karna...!
rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota
har shakhs tu dil ka sahara nahi hota
us roz esa lagta hai jiye hi nahi ham
jis roz kabhi zikr tumhara nahi hota..!
shikway bhi hazaron hain shikayat bhi buhot hay
is dil ko magar us say muhabbat bhi buhot hay
aajata hay milnay woh tasawwur main sar-e-shaam
ik shuks ki itni si inayat bhi buhot hay
yeh bhi hay tamanna k usay dil se bhula dain
is dil ko magar uski zaroorat bhi buhot hay
dekhain to zara pee k hum yeh zehr-e-mohabbat
suntay hain k is zehr main lazzat bhi buhot hay........!
k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray
meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray
teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say
main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray
kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi
meray lafz pooray tou thay magar thay samaa’aton say zara paray
tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar
meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray....!
kis qadar masoom, kitni shokh, lekin bewafa !...
ham ne pucha kon ...?

tu ghabra k bolay ...Zindagi !
kahtay ho k bichre huay muddat nahi guzri .........??

lagta hai kabhi tum ne calendar nahi dekha!
meri toheen karlo
usko bewafa na kaho
wo tu majboor tha
thak jana uski adat thi
warna usko tu ...........
mujh se bohat mohabbat thi!
suna hai waqt marham hai
zamanay bhar k zakhmo ka
so ik din bhar hi jayen gay
jo ghao chore jatay ho!

magar jab bhi koi sadma
kahi se bhi milay mujh ko
dukho ki sub ruto main tum
bohat hi yad atay ho!

mausam

موسم تھا بیقرار تمہیں سوچتے رہے
کل رات بار بار تمہیں سوچتے رہے
بارش ہوئ تو گھر کے دریچے سے لگ کے ہم
چپ چاپ سوگوار تمہیں سوچتے رہے

AJAB PAGAL SI LARKI HAI!!!

Mujhay her khat main likhti hai
"Mujhe tum yaad kertey ho?
Tumhe mein yaad aati houn?
Meri batein satati hain?
Meri neendein jagati hain?
Meri aankhein rulaati hain?
December ke sunehri dhoop main ab bhi teheltey ho?
Kisi khamosh raste se
Koye awaaz aati hai?
Kapkapati sard raatoun main
Tum ab bhi chhat pe jaatey ho?
Falak ke sab sitaaroou ko
Meri baatein sunatay ho?
Kitaboun se tumhare ishq main koi kami aayi?
Ya meri yaad ke shiddat se aankhoun main nami aayi?"

Ajab pagli si ladki hai
Mujhay her khat main likhti hai..

Jawab mein uss ko likhta houn..
Meri masroofiyat dekho !
Subah se shaam office main
Umar ka diya jalta hai
Phir uss ke baad duniya ki
Kayi majbooriyan paaoun main
Baidi daal rakhti hain!!!
Mujhe bay-fikr, chahat se bharey sapnay nahi dikhte
Tehelnay, jagnay, ronay ki mohlat he nahin milti
Sitarooun se miley arsa hua..naraaz houn shayed
Kitaboun se shauq maira abhi
Waisay he qayem hai
Farq itna pada hai
Ab unhein arsay main padhta houn
Tumhain kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn
Ke main khud ko bhulanay ki musalsal justajoo main houn
Tumhe na yaad aaney kee musalsal justajoo main houn
Mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
Mere din raat main ab bhi tumhari shaam rehti hai
Mere lafzoun ki her maala tumharay naam rehti hai
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn!!
Purani baat hai jo log akser gungunatay hain

Unhein hum yaad kareay hain jinhen hum bhool jatay hain

Ajab pagli si ladki hai

Meri masroofiyat dekho
Tumhe dil se bhulaoun tou tumhari yaad aaye na!
Tumhe dil se bhulaney ki mujhe fursat nahi milti
Aur iss masroof jeevan me
Tumahre khat ka ek jumla
"tumhain main yaad aati houn ?"
Meri chahat ki shiddat main kami honey nahi deta
Bohat raatein jagaata hai mujhay sonay nahi deta
So agli baar apne khat main yeh jumla nahi likhna
Ajab pagli si ladki hai
Mujhe phir bhi ye likhti hai
Mujhe tum yaad kartey ho?
tumhe main yaad aati houn ?

Share