Pages

jab tera dard mere sath...............

Jab tera dard mere sath wafa karta hai
ek samander meri aankho mai baha karta hai

uss ki baaten mujhe khushboo ki tarah lagti hain
phool jaise koi sehra mai khila karta hai

mere dost ki pehchan yahi kafi hai
wo har aik shaks ko danista khafa karta hai

aur to koi sabab uss ki mohabbat ka nahi
baat itni hai ke wo mujh se jafa karta hai

jab khizaan aayegi tab laut aayega wo bho Faraz
wo baharon mai zara kam hi mila karta hai ...

No comments:

Share