Pages

Shehr-e-wafa ke sab makeen, dasht-e-junoon tak aa gaye
Ek hi khwaab ke azaab, hadd-e-nazar bata gaye

Aisa nahin ke shehr main tere siwa koi na tha
Phir bhi najane laut kar, kion tere dar pe aa gaye

Teri faqat nigaah se, zakhm na mundamil huay
Tere adhoore jaam to, tashna labi barha gaye

Ham to sada-e-dard the, ham se tarab ki kia talab
Jis se bhi mail ho gaya, khoon rula rula gaye

Bada kashon ke dil se sab, khauf nikal nikal gaye
Shehr ke saare muhtasib, jab maikade main aa gaye

Saare jahan ke dard ko, seene main jab samo lia
Phir apne gham ko dekh kar, aap hi muskura gaye

Ham ne bhi seekh hi lia, tujh se tera hunar sanam
Dil ko jo sang kar lia, gham se nijaat paa gaye

Kuch is tarah se muntashir, apna wajood tha Saraab
Jab wo samait kar gaya, ham phir bikhar ke aa gaye ...!!!

No comments:

Share