By a sorrow heartedPakistani at arzepakistan :(
ye Aik Amrici bachay nay k jis ky ghar ki chaat par
Qarmazi tail chamakty thay
K jis k lawn mai phoolo ki rangeeni
Shafaq ko mand karti the
K jis ki Maa ka gehra surkh saaya
Apnay Asooda manazir ka
Nihayat eham Ansar tha
ye aik amrici bachay ny
bejijhak Andaaz mai pocha
ma phoolo ki rangeni
shafaq ko manind krti thee
k jis ki Maa ka gehra surkh saya!
apny asoda manazir ka
nihayat eham Ansar tha
bohot hi bejhijak Andaz mai
poocha!!
mama btlayee Rang-e-surkh kiya hai???
ye kaisa hota hai?
mumi boli!!
sani !
ye rang hai khilty gulabo ka
Jawani sy damkty Arzoo ka !
Ras bhary saibo ka !
khwahish ki sharabo ka !
Gulab Asabo ka !
husn ka ! naghmoo ka !
Sazoo ka rubabo ka !
Arz ye rang hai Hasti k sb shadab Baa bo ka!
Hazaro meel us door Sawat deer,Boneer ki Aik khaima basti mai!
k jis mai mousmo ki shiddat ny Rooh-e-Insan bi jala di hai
k jis mai be dari ny apny Angan ki musarrat b jal di hai!
yahi aik Pakistani bacha !
apni Maa sy pocha
Aday ye btlao rang surkh kiya hai?
ye kaisa hota hai?
Aday ny Bikhray baloo ko smaita !
or kuch soch kr boli!!
Zamazo !
Ye rang Surkh tu Aik estearra hai
Ossol-e-Haq pay Marny kaa shadaat k nasaabo ka
Rawan Qadroo sy Takran-e-ka
Jabir kay Attaabo ka
Mukhalif Qwatto ki qehar mani ka
Aqoobat kay Azzaabo ka
Meray seenay kay zakhmoo ka teray baba k Khawabo ka
Teray behan ki Ujrri Mang ka
Rootay shababo ka
Teray bhai kay behtay Khoon mai Ghairat kay jababo ka!
Zameen-e-Admiyat par Halakat kay Kharabo ka !!!.................
1 comment:
Allah-hu-Akbar!
Yehi rang hy Zinda logon ke lahu ka.
Zindagi Sister,
Baishak Allah sabr krne walon kay sath hy.
Assalamu alaikum.
Post a Comment