lejaye na chup chaap samandar ko utha kar ye shakhs.. jo sahil pe khara soch raha hai!
Rasta Badalna hai
Patharon peh chalna hai
Zindagi key rastay per
Gir gae, Sambbhalna hai,
Badalo! Hato Peechhay,
Chand ko nikalna hai
Phool ko mehekna hai,
Lakriyon ko jalna hai
Hum to door jain gay
kis ko sath chalna hai.!!!?
aye hasil-e-khuloos bata kia jawab dun ? dunya ye puchti hai k main kioon udaas hun ...!
kabhi yun bhi tu ho! darya ka sahil ho pure chand ki rat ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho! paryo ki mehfil ho koi tumhari bat ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho suni har manzil ho koi na mere sath ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho! ye badal ese toot k barse mere dil ki tarhan milne ko tumhara dil bhi tarsetum niklo ghar se! kabhi yun bhi tu ho kabhi yun bhi tu ho tanhai ho, dil ho boondain hon, barsat hoor tum ao! kash !kabhi yun bhi tu ho!
WAFA ki talash main chaltay chaltay jab mere paon k chalay mere rooh ki tishnagi or mere dil ki gehraiyon se zada gahre hogaye tu main thak k niim wa hui aik shajar-e-be-aman k saaye main a k so gayi! wo wafa k jis ki talash thi wo tu na mili ye sabaq mila k wafa ki tapti ret pe jo bilak bilak use dhund dhund k thak gaye wo yunhi darakhto k sayon main kabhi chup gaye kabhi sogaye jo wafa ki talash main niklay thay khud bhi kisi rah main kho gaye.....!
na shikayatain na gila karay koi esa shkhs hua karay jo mere liye hi saja karay jo mere liye hi bana karay
kabhi roye jaye wo bepanah kabhi betahasha udas ho kabhi chupk chupk dabe qadam mere pichay a k hansa karay
meri furqatain meri chahatain koi yaad rakhay qadam qadam main baray tawil safar main hun meri wapsi ki dua kare
sar jhukaoge to pathar devata ho jayega itana mat chaho use wo bewafa ho jaayega ham bhii dariyaa hain hamain apna hunar malum hai jis taraf bhi chal parainge rasta ho jaayega kitni sachai se mujhse zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi duuara ho jayega main Khudaa kaa naam le kar pii raha hun doston zahar bhii is me agar hoga dava ho jayega rooth jana to mohabbat kii alaamat hai magar kyaa Khabar thii mujh se wo itana Khafaa ho jayega...!!
kuch or is me izafa karo tu acha hai ye dil ka dard ke jis me kami nahi hoti..!
ITNA hee yaad rakh MUJHEY, Jaisey kisi kitaab me, Beetey dino k DOST ka, EK KHAT para huwa miley, Lafz mitey mitey se hon,Rang urra urra sa ho, Lakin woh AJNABI na ho! Uth ker terey galey lagey, Beetey dino ki sab KHATAAYEN, Bhooley huwey tamam sukh, Guzrey huwey tamam dukh, TUJH se kahey aur ro parey....!!!
Kadmon mein tere aakhiri dhadkan bichaa chale Maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale Waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko Tum bewafaa hue to hue , HUM nibhaa chale Aaraam tha kuch aag ki garmi se zakhm ko Aaye voh meri kabr par , shama bhujha chale Kaise banaun us jagah khwabo ka aashiyan Har lamha farebo ki jahan par hawaa chale Usne hamaari khwahishe pairon main raund din Har ek raza pe jiski hum gardan jhukaa chale Haathon ki lakiron ko bejaa jaan kar chup hun Kismat mein hai likhaa jo... uspe zor kya chale ! Nakaam hasrato ko bhulane kahan jate !! Nikle teri galii se suu-e-maikada chale Yun Gham-e-yaar tu seene mein chupa le Chehra bhi gar koi parhe , kuch na pata chale...!
Toot jatay hain sabhi rishte magar dil se dil ka raabta apni jaga
dil ko hai tujhse na milne ka yaqin
tujh se milne ki dua ... apni jaga..!
dar-e-dil pe deke dastak ye bahaar kah gayee hai mere ghar ki or kuch din zara dekh bhaal karna...!
rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota har shakhs tu dil ka sahara nahi hota us roz esa lagta hai jiye hi nahi ham jis roz kabhi zikr tumhara nahi hota..!
shikway bhi hazaron hain shikayat bhi buhot hay is dil ko magar us say muhabbat bhi buhot hay aajata hay milnay woh tasawwur main sar-e-shaam ik shuks ki itni si inayat bhi buhot hay yeh bhi hay tamanna k usay dil se bhula dain is dil ko magar uski zaroorat bhi buhot hay dekhain to zara pee k hum yeh zehr-e-mohabbat suntay hain k is zehr main lazzat bhi buhot hay........!
k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi meray lafz pooray tou thay magar thay samaa’aton say zara paray tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray....!
kis qadar masoom, kitni shokh, lekin bewafa !... ham ne pucha kon ...?
tu ghabra k bolay ...Zindagi !
kahtay ho k bichre huay muddat nahi guzri .........??
lagta hai kabhi tum ne calendar nahi dekha!
meri toheen karlo usko bewafa na kaho wo tu majboor tha thak jana uski adat thi warna usko tu ........... mujh se bohat mohabbat thi!
suna hai waqt marham hai zamanay bhar k zakhmo ka so ik din bhar hi jayen gay jo ghao chore jatay ho!
magar jab bhi koi sadma kahi se bhi milay mujh ko dukho ki sub ruto main tum bohat hi yad atay ho!
Mujhay her khat main likhti hai "Mujhe tum yaad kertey ho? Tumhe mein yaad aati houn? Meri batein satati hain? Meri neendein jagati hain? Meri aankhein rulaati hain? December ke sunehri dhoop main ab bhi teheltey ho? Kisi khamosh raste se Koye awaaz aati hai? Kapkapati sard raatoun main Tum ab bhi chhat pe jaatey ho? Falak ke sab sitaaroou ko Meri baatein sunatay ho? Kitaboun se tumhare ishq main koi kami aayi? Ya meri yaad ke shiddat se aankhoun main nami aayi?"
Ajab pagli si ladki hai Mujhay her khat main likhti hai..
Jawab mein uss ko likhta houn.. Meri masroofiyat dekho ! Subah se shaam office main Umar ka diya jalta hai Phir uss ke baad duniya ki Kayi majbooriyan paaoun main Baidi daal rakhti hain!!! Mujhe bay-fikr, chahat se bharey sapnay nahi dikhte Tehelnay, jagnay, ronay ki mohlat he nahin milti Sitarooun se miley arsa hua..naraaz houn shayed Kitaboun se shauq maira abhi Waisay he qayem hai Farq itna pada hai Ab unhein arsay main padhta houn Tumhain kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn Ke main khud ko bhulanay ki musalsal justajoo main houn Tumhe na yaad aaney kee musalsal justajoo main houn Mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai Mere din raat main ab bhi tumhari shaam rehti hai Mere lafzoun ki her maala tumharay naam rehti hai Tumhe kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn!! Purani baat hai jo log akser gungunatay hain Unhein hum yaad kareay hain jinhen hum bhool jatay hain