Pages

Showing posts with label Tanhai. Show all posts
Showing posts with label Tanhai. Show all posts
Tu khud ko tanha kahta hai.>?????????
ye dekh tere janay ke baad
kon kon TANHA hai
Hawa
ghata
barish
dhoop
pathar
phool
raat
subh
sahra
samandar
sub tanha hain
tu khud ko tanha kahta hai??
dekh tere janay k baad
sub tanha hain...
EK MERE SIWA... !!!!!
Tanhai
Her rooz Subhu Uthti Hoon
Dua Mangti Hoon
Tujh Se Milny Ki
Aur Tanhai Se Bicherny Ki
Lakin Na Jany Kya Baat Hai
Meri Duaain be Aser Hain
Ya Main
Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi
Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai
Keh Tuu Mujhe Milta Nahi
Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi...!!
Tu kehta tha tery jany k ba'ad koi udas nahi ho ga.

ye dekh tere janay ke baad

kon kon UDAS hai

Hawa

ghata

barish

dhoop

pathar

phool

raat

subh

sahra

samandar

sub udas hain

dekh tere janay k baad

sub udas hain...

laikan ye sub apni udasi

bhool jaty hain jab…

MUJY UDAS DEKHTY HAIN !!!!!

!!!!!!!!!!!

wo kahta tha
main tumhain
KABHI NAHI CHORUN GA
OR main sochti thi
kia waqai wo mujhay kabhi nahi chore ga
Aj
jab ham bichre
tu waqai us ne
apna irada such kar dikhaya
aj
wo bichra
tu ese bichra
k
usne mujhay
KAHIN KA NA CHORA ..!!!!
wo kahta tha

main tumhain KABHI NAHI CHORUN GA

OR main sochti thi

kia waqai wo mujhay kabhi nahi chore ga

Aj

jab ham bichre

tu waqai us ne

apna irada such kar dikhaya

aj

wo bichra

tu ese bichra

k

usne mujhay

kahin ka na chora ..!!!!
Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta

Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
KÄħH

Koi to hota?...!!!

WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......

"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam.........?
bhala wo koun hai humdam.........?"

MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dheere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"

WO KEHTI THI

"mujhe ye khauf hai janaa........
kahin tum dair na kardo!"

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqt ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga

!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!

ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......

MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB

main khud ko roolta hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa......!
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.........
bohat he dair kar di hai......!!!!

Share