Pages

Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta

Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
KÄħH

Koi to hota?...!!!

WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......

"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam.........?
bhala wo koun hai humdam.........?"

MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dheere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"

WO KEHTI THI

"mujhe ye khauf hai janaa........
kahin tum dair na kardo!"

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqt ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga

!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!

ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......

MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB

main khud ko roolta hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa......!
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.........
bohat he dair kar di hai......!!!!
Iss jurm-e-mohabbat ki mujhey kuch toh saza dey
jeeny ki nahi deta toh marney ki dua dey..
deta tha karri dhoop main jo logon ko saya
kis ney kaha yeh tujh ko woh sajar jala dey
agar tujh ko sata ta hai mery ghar ka ujaala
aaey jane-e-wafa Aa k chiragon ko bujha dey
haan tujh sey mohabbat hai
faqat
tujh sey mohabbat hai
aaisa bhe na ho baat
yeh logon ko bata dey
mehboob tery jaisa to maana k nahi ho ga
Aashiq bhe koi mujh sa zamaney main dekha dey....!!!!!

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjara hoon,
kya jaanay kidhar jaaoonga !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga,
basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !
Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga....!!!
Shehr-e-wafa ke sab makeen, dasht-e-junoon tak aa gaye
Ek hi khwaab ke azaab, hadd-e-nazar bata gaye

Aisa nahin ke shehr main tere siwa koi na tha
Phir bhi najane laut kar, kion tere dar pe aa gaye

Teri faqat nigaah se, zakhm na mundamil huay
Tere adhoore jaam to, tashna labi barha gaye

Ham to sada-e-dard the, ham se tarab ki kia talab
Jis se bhi mail ho gaya, khoon rula rula gaye

Bada kashon ke dil se sab, khauf nikal nikal gaye
Shehr ke saare muhtasib, jab maikade main aa gaye

Saare jahan ke dard ko, seene main jab samo lia
Phir apne gham ko dekh kar, aap hi muskura gaye

Ham ne bhi seekh hi lia, tujh se tera hunar sanam
Dil ko jo sang kar lia, gham se nijaat paa gaye

Kuch is tarah se muntashir, apna wajood tha Saraab
Jab wo samait kar gaya, ham phir bikhar ke aa gaye ...!!!
Ye jo zeest ka safar hai
ye jo raasta hai mera
tum agar na sath do ge
tu ye kis tarha katay ga?
meri soch ki hado tak
ye guma'n bhi kese aye
koi pal
bina tumharay
bhala kese beet jaye?
mere paas tum nahi ho
mere paas kab nahi ho?
meri har dua ka mehvar
bus
ARZOO TUMHARI
is aarzoo se agay
koi raasta nahi hai
koi silsila nahi hai
koi waasta nahi hai ...!!!
WO kahta tha
tumhain ik bat kahni hai
kisi shayer ka kahna hai
hazaro'n dukh parain sahna
muhabbat mar nahi sakti !
main kahti thi
ye tum ne theek socha hai
muhabbat tu hamari
rooh ka ahsas hoti hai
muhabbat mar nahi sakti
magar ye kia ..???
ke wo bhi ji raha hai
or main bhi ji rahi hun
per muhabbat margayee shayad
tu main ne us se pucha!
tum tu kahte thay
muhabbat mar nahi sakti..?
wo kahta hai !
aray pagal..
ye main nay kub kaha
ye tu kisi shayer ka kahna tha ..!!!

Share