MOHABBAT Hoti Hay
azal sey Mohabbat hai maavra lafzon ki maala sey
magar yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch k aakaash par baadal ki soorat mein
sada parwaaz karti hai
kabhi baarish ki boondon mein simat kar dil ki dharti par
utarti hai ...... bikahrti hai
ada ley kar saba sey yeh, gulaabon sey mehak ley kar
dhanak sey rang ley kar aur sitaron sey chamak ley kar
haseen aanchal banati hai
issi aanhcal sey phir khawabon k kachay ghar banati hai
Mohabbat aazmati hai
kabhi yeh shair ban kar lafz ki hurmat barhati hai
kabhi yeh saaz ban kar dheeray dheeray gungunati hai
saraapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko paa kar
anokha lams ban jati hai koye-eyaar mein ja kar
na janay kosa manter parh kar holey holey sey
kisi ki band palkon mein bina dastak diye yak dum
utar kar ghat banati hai .....
Mohabbat mustarati hai
yeh khushboo hai hamehsa phool ki saansoon mein hoti hai
bana dey chand ' tera shab ko jo yeh aisa moti hai
kasak hai daaimi is mein 'buhat be naam lazat hai
Mohabbat ki yehi tareef hai k............
han Mohabbat hoti hai bilkul hoti hai
No comments:
Post a Comment