Pages

lejaye na chup chaap samandar ko utha kar
ye shakhs.. jo sahil pe khara soch raha hai!
Rasta Badalna hai
Patharon peh chalna hai
Zindagi key rastay per
Gir gae, Sambbhalna hai,
Badalo! Hato Peechhay,
Chand ko nikalna hai
Phool ko mehekna hai,
Lakriyon ko jalna hai
Hum to door jain gay
kis ko sath chalna hai.!!!?
aye hasil-e-khuloos bata kia jawab dun ?
dunya ye puchti hai k main kioon udaas hun ...!
kabhi yun bhi tu ho!
darya ka sahil ho
pure chand ki rat ho

or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho!

paryo ki mehfil ho
koi tumhari bat ho
or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho

suni har manzil ho
koi na mere sath ho
or tum ao!
kabhi yun bhi tu ho!

ye badal ese toot k barse
mere dil ki tarhan milne ko
tumhara dil bhi tarsetum niklo ghar se!
kabhi yun bhi tu ho

kabhi yun bhi tu ho
tanhai ho, dil ho boondain hon, barsat hoor tum ao!
kash !kabhi yun bhi tu ho!
WAFA ki talash main chaltay chaltay
jab mere paon k chalay
mere rooh ki tishnagi
or
mere dil ki gehraiyon se
zada gahre hogaye
tu main thak k niim wa hui
aik shajar-e-be-aman k
saaye main a k so gayi!
wo wafa k jis ki talash thi
wo tu na mili
ye sabaq mila
k wafa ki tapti ret pe
jo bilak bilak use dhund dhund k thak gaye
wo yunhi darakhto k sayon main
kabhi chup gaye
kabhi sogaye
jo wafa ki talash main niklay thay
khud bhi kisi rah main kho gaye.....!
na shikayatain na gila karay
koi esa shkhs hua karay
jo mere liye hi saja karay
jo mere liye hi bana karay


kabhi roye jaye wo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chupk chupk dabe qadam
mere pichay a k hansa karay


meri furqatain meri chahatain
koi yaad rakhay qadam qadam
main baray tawil safar main hun
meri wapsi ki dua kare
sar jhukaoge to pathar devata ho jayega
itana mat chaho use wo bewafa ho jaayega
ham bhii dariyaa hain hamain apna hunar malum hai

jis taraf bhi chal parainge rasta ho jaayega
kitni sachai se mujhse zindagi ne kah diya

tu nahin meraa to koi duuara ho jayega
main Khudaa kaa naam le kar pii raha hun doston

zahar bhii is me agar hoga dava ho jayega
rooth jana to mohabbat kii alaamat hai magar

kyaa Khabar thii mujh se wo itana Khafaa ho jayega...!!
kuch or is me izafa karo tu acha hai
ye dil ka dard ke jis me kami nahi hoti..!
ITNA hee yaad rakh MUJHEY,
Jaisey kisi kitaab me,
Beetey dino k DOST ka,
EK KHAT para huwa miley,
Lafz mitey mitey se hon,Rang urra urra sa ho,
Lakin woh AJNABI na ho!
Uth ker terey galey lagey,
Beetey dino ki sab KHATAAYEN,
Bhooley huwey tamam sukh,
Guzrey huwey tamam dukh,
TUJH se kahey aur ro parey....!!!
Kadmon mein tere aakhiri dhadkan bichaa chale
Maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
Waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko

Tum bewafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
Aaraam tha kuch aag ki garmi se zakhm ko

Aaye voh meri kabr par , shama bhujha chale
Kaise banaun us jagah khwabo ka aashiyan

Har lamha farebo ki jahan par hawaa chale
Usne hamaari khwahishe pairon main raund din

Har ek raza pe jiski hum gardan jhukaa chale
Haathon ki lakiron ko bejaa jaan kar chup hun

Kismat mein hai likhaa jo... uspe zor kya chale !
Nakaam hasrato ko bhulane kahan jate !!

Nikle teri galii se suu-e-maikada chale
Yun Gham-e-yaar tu seene mein chupa le

Chehra bhi gar koi parhe , kuch na pata chale...!

Share