Main jis kay dil ki kitab banta Main jis ki chahat ka khawab banta Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta Ragoo ka apni fishar kehta Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna qareeb hota Na paas koi raqeeb hota Main tanha uss ka habbib hota Yeh silsila bhi ajeeb hota Koi to hota? KÄħH
Koi to hota?...!!!
WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......
"ye jo tum lafz likhte ho ye jo tum harf buntay ho youn he benaam jazboon ko haseen ik rang dete ho teh'hai dil main chupi batein jisse tum youn sunate ho yeh kiss k naam karte ho? bhala woh koun hai janaa? jo youn neendain churati hai? ragg-o-jan main utar'ti hai tumhare dil main basti hai bhala wo husn ka paikar zara humko bhi batlao bhala wo koun hai humdam.........? bhala wo koun hai humdam.........?"
MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN bohat dheere se hansta tha ussay bechain karta tha main usko youn satata tha main kehta tha.......
"main bataoon ga jab uska waqt aaye ga abhi kuch dair baki hai"
WO KEHTI THI
"mujhe ye khauf hai janaa........ kahin tum dair na kardo!"
MUJHE YE MAAN THA KHUD PER k behte waqt ka dhara main uss muthi main bhar loon ga
!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!
ussay janay ki jaldi thi k iqraare wafa k din wo chanchal shokh si larki aur uske jhilmilate nain manno matti main ja soye.......
MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB
main khud ko roolta hoon ab assay kaisay bataoon sab k main jo lafz likhta tha k main jo harf bunta tha ussi k naam karta tha
MAIN KAISE KAHON YE AB
k haan janaa......! tumhain jo khauf la'hak tha wo to ho giya mujhse meri khali hai muthi ab haan maine dair kar di hai......... bohat he dair kar di hai......!!!!
Iss jurm-e-mohabbat ki mujhey kuch toh saza dey
jeeny ki nahi deta toh marney ki dua dey..
deta tha karri dhoop main jo logon ko saya
kis ney kaha yeh tujh ko woh sajar jala dey
agar tujh ko sata ta hai mery ghar ka ujaala
aaey jane-e-wafa Aa k chiragon ko bujha dey
haan tujh sey mohabbat hai
faqat
tujh sey mohabbat hai
aaisa bhe na ho baat
yeh logon ko bata dey
mehboob tery jaisa to maana k nahi ho ga
Aashiq bhe koi mujh sa zamaney main dekha dey....!!!!!
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga....!!!
Shehr-e-wafa ke sab makeen, dasht-e-junoon tak aa gaye Ek hi khwaab ke azaab, hadd-e-nazar bata gaye
Aisa nahin ke shehr main tere siwa koi na tha Phir bhi najane laut kar, kion tere dar pe aa gaye
Teri faqat nigaah se, zakhm na mundamil huay Tere adhoore jaam to, tashna labi barha gaye
Ham to sada-e-dard the, ham se tarab ki kia talab Jis se bhi mail ho gaya, khoon rula rula gaye
Bada kashon ke dil se sab, khauf nikal nikal gaye Shehr ke saare muhtasib, jab maikade main aa gaye
Saare jahan ke dard ko, seene main jab samo lia Phir apne gham ko dekh kar, aap hi muskura gaye
Ham ne bhi seekh hi lia, tujh se tera hunar sanam Dil ko jo sang kar lia, gham se nijaat paa gaye
Kuch is tarah se muntashir, apna wajood tha Saraab Jab wo samait kar gaya, ham phir bikhar ke aa gaye ...!!!
Ye jo zeest ka safar hai ye jo raasta hai mera tum agar na sath do ge tu ye kis tarha katay ga? meri soch ki hado tak ye guma'n bhi kese aye koi pal bina tumharay bhala kese beet jaye? mere paas tum nahi ho mere paas kab nahi ho? meri har dua ka mehvar bus ARZOO TUMHARI is aarzoo se agay koi raasta nahi hai koi silsila nahi hai koi waasta nahi hai ...!!!
WO kahta tha tumhain ik bat kahni hai kisi shayer ka kahna hai hazaro'n dukh parain sahna muhabbat mar nahi sakti ! main kahti thi ye tum ne theek socha hai muhabbat tu hamari rooh ka ahsas hoti hai muhabbat mar nahi sakti magar ye kia ..??? ke wo bhi ji raha hai or main bhi ji rahi hun per muhabbat margayee shayad tu main ne us se pucha! tum tu kahte thay muhabbat mar nahi sakti..? wo kahta hai ! aray pagal.. ye main nay kub kaha ye tu kisi shayer ka kahna tha ..!!!