wo tu is soch main sahil pe khara doob gaya kitna gahra tere darya ka kinara hoga wo mera ho ke bhi mahroom raha mujhse faraz kya koi meri tarha jeet ke hara hoga ..????
ik roz koi tu soche ga farzano ki is basti main ik shakhs tha PAGAL PAGAL sa par batain theek hi karta tha barish ki tarha purshor na tha darya ki tarha chup rahta tha jin se use pyar bala ka tha ta'anay bhi unhi k sahta tha ik shakhs tha PAGAL PAGAL sa par batain theek hi kahta tha dunya ne usay kuch bhi na dya par usne jug ko pyar dya jaa'n rote rote kho betha dil hanste hanste haar dya JO NAZM LIKHI BHARPUR LIKHI JO SHER DIYA SHAHKAAR DIYA kioon jite ji dargor hua..?? kis chah pe tan man waar dya?? tha dushman kon becharay ka?? kis runj ne us ko maar dya?? IK ROZA KOI TU SOCHE GA OR PAHRO'N BETH K ROYE GA..!!!! .........................
Dard-e-Mushtarik
Tumhain daikhaa nahi Jana nahi Phir bhi ye lagtaa hai
Qabeela aik hai apnaa!!!!!
Wohi dard-e-judai hai Wahi bheegi hui palkain
Naseeba aik hai apna!!!
Kisi se kuch nahi kehnaa Koi shikwaa nahi karnaa
Qarenaa aik hai apnaa!!
Kisi ki yaad se Weran-i-dil jagmaga lainaa
Khazeena aik hai apnaa!!
Yaqeen ki akhri had tak Milan ki khushgumani hai
Nateeja aik hai apnaa...!!!
Dard Phail Jae To….
Aik waqt aata hay Dil dharakta rehta hay Aarzu gazeedon kay, hoslay nahin chaltay Dasht-e-bey yaqeeni mein Aasray nahin chaltay Reh rawon ke aankhon mein Manzilain na jab tak hon Qaflay nahin chaltay Ik zara tawajjah sey, dekhiye to khulta hay Loag un pey chaltay hain Raastay nahin chaltay Sochnay,samajhnay sey Saath saath chalnay sey Dooriyan simat te hain Faslay,nahin chaltay Bakht saath chalta hay Tala’a aazmaon kay Waqt raam kernay mein Tajzeyon kay dao kia!! Tajrubay nahin chaltay Ishq kay elaqay mein, hukm-e-yaar chalta hay Zaabtay nahin chaltay Husn ki aadalat mein Aajizi to chalti hay Martabay nahin chaltay dOsti kay rishton ke perwarish zaroori hay silsilay ta’alluq kay khud sey ban to jatay hain lekin……….. in shagufon ko tootnay, bikhernay sey rokna bhe perta hay chahaton ke mitti mein aarzoo kay podon ko ,seenchna bhe perta hay ranjishon ke baton ko,bhoolna bhe perta hay….!!!
POOCHANEY WALEY
TUJHE KAISEY BATAIEN AAKHIR ?
DUKH EBARAT TU NAHIN JO TUJHE LIKH KAR BHAJEIN YE KAHANI BHI NAHIN HAI KE SUNAYEIN TUJH KO NA KOI BAAT HI AISI KE BATAEIN TUJH KO
ZAKHAM HO TU TERE NAKHUN KE HAWALEY KAR DEIN AAINA BHI NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO
TU NE POOCHA HAI MAGAR KAISEY BATAIEN TUJH KO YE KOI RAAZ NAHIN , JIS KO CHUPAYEN TU WO RAAZ
KABHI CHEHRE , KABHI AANKHON SE CHALAK JATA HAI JAISEY AANCHAL KO SANBHALEY KOI , AUR TEZ HAWA
JAB BHI CHALTI HAI TU SHANOON SE DHALAK JATA HAI AB TUJHEY KAISEY BATAYEN KE HAMEIN KAYA DUKH HAI ?
JISM MEIN REENGATI HAI MUSAFIT KI THAKAN PHIR BHI KANDHON PE UTHAEY HUEY HALAT KA BHOJ
APNE QADMON SE HATATE HUEY SAYA APNA JIS KO BHI DEKHIYE WO CHUP CHAP CHALA JATA HAI
KABHI KHUD SE KABHI RASTON SE ULJHATA HAI MAGAR JANEY WALA KISI AWAZ PE RUKATA HI NAHIN
DHOONDTA HAI NAYA PERAYA - E - IZHAAR HAMEIN ISTA-AROON KI ZUBAN KOI SAMJHATA HI NAHIN
TU SAMJHTA HAI KE KHUSHBOO SE MUATAR HAI HAYAT TU NE CHAKHA HI NAHIN ZEHAR KISI MAUSAM KA
TUJH PE GUZRA HI NAHIN RAQS - E - JANOON KA ALAM AISA AALAM , JAHAN SADIYUN KE TAHYEIRKA NASHA
HAR BICHADTI HUI SA-AT SE GALEY MILTA HAI IS TAMASHEY KA B ZAHIR TU NAHIN KOI SABAB
SIRF MEHSOOS KARO GE TU PATA CHALTA HAI
BE - KHABAR REHNA KISI BAAT SE ACHA HI NAHIN TU KABHI WAQAT KI DEHLEEZ PE THEHRA HI NAHIN
TU NE DEKHEY HI NAHIN HALQA - E - AMROZ KE RANG GARMI - E - WADA - E - FARDA SE PIGHALTEY HUE LOOG
APNEY HI KHAWAB KI TABEER MEIN JALTEY HUEY LOOG AMAN KE NAAM PE BAROOD BHARI DUNIYA MEIN
ROOZ JEETEY HUEY ROOZ HI MARTEY HUEY LOOG ZINDAGI FILM NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO
TU NE POOCHA HAI MAGAR KAIsE BATAEIN TUJH KO ?
POOCHANEY WALEY
TUJHEY KAISEY BATAEIN AAKHIR ? DUKH EBAARAT TU NAHIN HAI JO LIKH KAR BHEJEIN
DUKH TU MEHSOOS HUA KARTA HAI CHAHEY TERA HO KE MERA DUKH HO
AADMI WO HAI JISEY JEETEY JI SIRF APNA HI NAHIN SAB KA DUKH HO
AASMAN MERI ZAMEENON PE JHUKA TU HAI LAKIN TERA AUR MERA SITARA HI NAHIN MILTA HAI..!!!
aik tery rooth jany se kisi ko kuch nahi hota phool b mehkty hain rang b damakty hain sooraj b nikalta hay taray b chamakty hain laikan itna zaror hota hay aik tery rooth jany se koi... hansna bhool jata hay koi... jeena bhool jata hay!!!
Tu khud ko tanha kahta hai.>????????? ye dekh tere janay ke baad kon kon TANHA hai Hawa ghata barish dhoop pathar phool raat subh sahra samandar sub tanha hain tu khud ko tanha kahta hai?? dekh tere janay k baad sub tanha hain... EK MERE SIWA... !!!!!
Tanhai Her rooz Subhu Uthti Hoon Dua Mangti Hoon Tujh Se Milny Ki Aur Tanhai Se Bicherny Ki Lakin Na Jany Kya Baat Hai Meri Duaain be Aser Hain Ya Main Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai Keh Tuu Mujhe Milta Nahi Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi...!!
Tu kehta tha tery jany k ba'ad koi udas nahi ho ga.
Main jis kay dil ki kitab banta Main jis ki chahat ka khawab banta Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta Ragoo ka apni fishar kehta Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna qareeb hota Na paas koi raqeeb hota Main tanha uss ka habbib hota Yeh silsila bhi ajeeb hota Koi to hota? KÄħH
Koi to hota?...!!!
WOH MUJH SE POOCHA KARTI THI......
"ye jo tum lafz likhte ho ye jo tum harf buntay ho youn he benaam jazboon ko haseen ik rang dete ho teh'hai dil main chupi batein jisse tum youn sunate ho yeh kiss k naam karte ho? bhala woh koun hai janaa? jo youn neendain churati hai? ragg-o-jan main utar'ti hai tumhare dil main basti hai bhala wo husn ka paikar zara humko bhi batlao bhala wo koun hai humdam.........? bhala wo koun hai humdam.........?"
MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN bohat dheere se hansta tha ussay bechain karta tha main usko youn satata tha main kehta tha.......
"main bataoon ga jab uska waqt aaye ga abhi kuch dair baki hai"
WO KEHTI THI
"mujhe ye khauf hai janaa........ kahin tum dair na kardo!"
MUJHE YE MAAN THA KHUD PER k behte waqt ka dhara main uss muthi main bhar loon ga
!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!
ussay janay ki jaldi thi k iqraare wafa k din wo chanchal shokh si larki aur uske jhilmilate nain manno matti main ja soye.......
MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB
main khud ko roolta hoon ab assay kaisay bataoon sab k main jo lafz likhta tha k main jo harf bunta tha ussi k naam karta tha
MAIN KAISE KAHON YE AB
k haan janaa......! tumhain jo khauf la'hak tha wo to ho giya mujhse meri khali hai muthi ab haan maine dair kar di hai......... bohat he dair kar di hai......!!!!
Iss jurm-e-mohabbat ki mujhey kuch toh saza dey
jeeny ki nahi deta toh marney ki dua dey..
deta tha karri dhoop main jo logon ko saya
kis ney kaha yeh tujh ko woh sajar jala dey
agar tujh ko sata ta hai mery ghar ka ujaala
aaey jane-e-wafa Aa k chiragon ko bujha dey
haan tujh sey mohabbat hai
faqat
tujh sey mohabbat hai
aaisa bhe na ho baat
yeh logon ko bata dey
mehboob tery jaisa to maana k nahi ho ga
Aashiq bhe koi mujh sa zamaney main dekha dey....!!!!!
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga ! Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo, Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga ! Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga....!!!
Shehr-e-wafa ke sab makeen, dasht-e-junoon tak aa gaye Ek hi khwaab ke azaab, hadd-e-nazar bata gaye
Aisa nahin ke shehr main tere siwa koi na tha Phir bhi najane laut kar, kion tere dar pe aa gaye
Teri faqat nigaah se, zakhm na mundamil huay Tere adhoore jaam to, tashna labi barha gaye
Ham to sada-e-dard the, ham se tarab ki kia talab Jis se bhi mail ho gaya, khoon rula rula gaye
Bada kashon ke dil se sab, khauf nikal nikal gaye Shehr ke saare muhtasib, jab maikade main aa gaye
Saare jahan ke dard ko, seene main jab samo lia Phir apne gham ko dekh kar, aap hi muskura gaye
Ham ne bhi seekh hi lia, tujh se tera hunar sanam Dil ko jo sang kar lia, gham se nijaat paa gaye
Kuch is tarah se muntashir, apna wajood tha Saraab Jab wo samait kar gaya, ham phir bikhar ke aa gaye ...!!!
Ye jo zeest ka safar hai ye jo raasta hai mera tum agar na sath do ge tu ye kis tarha katay ga? meri soch ki hado tak ye guma'n bhi kese aye koi pal bina tumharay bhala kese beet jaye? mere paas tum nahi ho mere paas kab nahi ho? meri har dua ka mehvar bus ARZOO TUMHARI is aarzoo se agay koi raasta nahi hai koi silsila nahi hai koi waasta nahi hai ...!!!
WO kahta tha tumhain ik bat kahni hai kisi shayer ka kahna hai hazaro'n dukh parain sahna muhabbat mar nahi sakti ! main kahti thi ye tum ne theek socha hai muhabbat tu hamari rooh ka ahsas hoti hai muhabbat mar nahi sakti magar ye kia ..??? ke wo bhi ji raha hai or main bhi ji rahi hun per muhabbat margayee shayad tu main ne us se pucha! tum tu kahte thay muhabbat mar nahi sakti..? wo kahta hai ! aray pagal.. ye main nay kub kaha ye tu kisi shayer ka kahna tha ..!!!
lejaye na chup chaap samandar ko utha kar ye shakhs.. jo sahil pe khara soch raha hai!
Rasta Badalna hai
Patharon peh chalna hai
Zindagi key rastay per
Gir gae, Sambbhalna hai,
Badalo! Hato Peechhay,
Chand ko nikalna hai
Phool ko mehekna hai,
Lakriyon ko jalna hai
Hum to door jain gay
kis ko sath chalna hai.!!!?
aye hasil-e-khuloos bata kia jawab dun ? dunya ye puchti hai k main kioon udaas hun ...!
kabhi yun bhi tu ho! darya ka sahil ho pure chand ki rat ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho! paryo ki mehfil ho koi tumhari bat ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho suni har manzil ho koi na mere sath ho or tum ao! kabhi yun bhi tu ho! ye badal ese toot k barse mere dil ki tarhan milne ko tumhara dil bhi tarsetum niklo ghar se! kabhi yun bhi tu ho kabhi yun bhi tu ho tanhai ho, dil ho boondain hon, barsat hoor tum ao! kash !kabhi yun bhi tu ho!
WAFA ki talash main chaltay chaltay jab mere paon k chalay mere rooh ki tishnagi or mere dil ki gehraiyon se zada gahre hogaye tu main thak k niim wa hui aik shajar-e-be-aman k saaye main a k so gayi! wo wafa k jis ki talash thi wo tu na mili ye sabaq mila k wafa ki tapti ret pe jo bilak bilak use dhund dhund k thak gaye wo yunhi darakhto k sayon main kabhi chup gaye kabhi sogaye jo wafa ki talash main niklay thay khud bhi kisi rah main kho gaye.....!
na shikayatain na gila karay koi esa shkhs hua karay jo mere liye hi saja karay jo mere liye hi bana karay
kabhi roye jaye wo bepanah kabhi betahasha udas ho kabhi chupk chupk dabe qadam mere pichay a k hansa karay
meri furqatain meri chahatain koi yaad rakhay qadam qadam main baray tawil safar main hun meri wapsi ki dua kare
sar jhukaoge to pathar devata ho jayega itana mat chaho use wo bewafa ho jaayega ham bhii dariyaa hain hamain apna hunar malum hai jis taraf bhi chal parainge rasta ho jaayega kitni sachai se mujhse zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi duuara ho jayega main Khudaa kaa naam le kar pii raha hun doston zahar bhii is me agar hoga dava ho jayega rooth jana to mohabbat kii alaamat hai magar kyaa Khabar thii mujh se wo itana Khafaa ho jayega...!!
kuch or is me izafa karo tu acha hai ye dil ka dard ke jis me kami nahi hoti..!
ITNA hee yaad rakh MUJHEY, Jaisey kisi kitaab me, Beetey dino k DOST ka, EK KHAT para huwa miley, Lafz mitey mitey se hon,Rang urra urra sa ho, Lakin woh AJNABI na ho! Uth ker terey galey lagey, Beetey dino ki sab KHATAAYEN, Bhooley huwey tamam sukh, Guzrey huwey tamam dukh, TUJH se kahey aur ro parey....!!!
Kadmon mein tere aakhiri dhadkan bichaa chale Maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale Waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko Tum bewafaa hue to hue , HUM nibhaa chale Aaraam tha kuch aag ki garmi se zakhm ko Aaye voh meri kabr par , shama bhujha chale Kaise banaun us jagah khwabo ka aashiyan Har lamha farebo ki jahan par hawaa chale Usne hamaari khwahishe pairon main raund din Har ek raza pe jiski hum gardan jhukaa chale Haathon ki lakiron ko bejaa jaan kar chup hun Kismat mein hai likhaa jo... uspe zor kya chale ! Nakaam hasrato ko bhulane kahan jate !! Nikle teri galii se suu-e-maikada chale Yun Gham-e-yaar tu seene mein chupa le Chehra bhi gar koi parhe , kuch na pata chale...!
Toot jatay hain sabhi rishte magar dil se dil ka raabta apni jaga
dil ko hai tujhse na milne ka yaqin
tujh se milne ki dua ... apni jaga..!
dar-e-dil pe deke dastak ye bahaar kah gayee hai mere ghar ki or kuch din zara dekh bhaal karna...!
rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota har shakhs tu dil ka sahara nahi hota us roz esa lagta hai jiye hi nahi ham jis roz kabhi zikr tumhara nahi hota..!
shikway bhi hazaron hain shikayat bhi buhot hay is dil ko magar us say muhabbat bhi buhot hay aajata hay milnay woh tasawwur main sar-e-shaam ik shuks ki itni si inayat bhi buhot hay yeh bhi hay tamanna k usay dil se bhula dain is dil ko magar uski zaroorat bhi buhot hay dekhain to zara pee k hum yeh zehr-e-mohabbat suntay hain k is zehr main lazzat bhi buhot hay........!
k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi meray lafz pooray tou thay magar thay samaa’aton say zara paray tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray....!
kis qadar masoom, kitni shokh, lekin bewafa !... ham ne pucha kon ...?
tu ghabra k bolay ...Zindagi !
kahtay ho k bichre huay muddat nahi guzri .........??
lagta hai kabhi tum ne calendar nahi dekha!
meri toheen karlo usko bewafa na kaho wo tu majboor tha thak jana uski adat thi warna usko tu ........... mujh se bohat mohabbat thi!
suna hai waqt marham hai zamanay bhar k zakhmo ka so ik din bhar hi jayen gay jo ghao chore jatay ho!
magar jab bhi koi sadma kahi se bhi milay mujh ko dukho ki sub ruto main tum bohat hi yad atay ho!
Mujhay her khat main likhti hai "Mujhe tum yaad kertey ho? Tumhe mein yaad aati houn? Meri batein satati hain? Meri neendein jagati hain? Meri aankhein rulaati hain? December ke sunehri dhoop main ab bhi teheltey ho? Kisi khamosh raste se Koye awaaz aati hai? Kapkapati sard raatoun main Tum ab bhi chhat pe jaatey ho? Falak ke sab sitaaroou ko Meri baatein sunatay ho? Kitaboun se tumhare ishq main koi kami aayi? Ya meri yaad ke shiddat se aankhoun main nami aayi?"
Ajab pagli si ladki hai Mujhay her khat main likhti hai..
Jawab mein uss ko likhta houn.. Meri masroofiyat dekho ! Subah se shaam office main Umar ka diya jalta hai Phir uss ke baad duniya ki Kayi majbooriyan paaoun main Baidi daal rakhti hain!!! Mujhe bay-fikr, chahat se bharey sapnay nahi dikhte Tehelnay, jagnay, ronay ki mohlat he nahin milti Sitarooun se miley arsa hua..naraaz houn shayed Kitaboun se shauq maira abhi Waisay he qayem hai Farq itna pada hai Ab unhein arsay main padhta houn Tumhain kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn Ke main khud ko bhulanay ki musalsal justajoo main houn Tumhe na yaad aaney kee musalsal justajoo main houn Mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai Mere din raat main ab bhi tumhari shaam rehti hai Mere lafzoun ki her maala tumharay naam rehti hai Tumhe kis ne kaha pagli tumhe mein yaad kerta houn!! Purani baat hai jo log akser gungunatay hain Unhein hum yaad kareay hain jinhen hum bhool jatay hain